Kisi bhi karya ko Yojana Buddh Dharm se karne ki kriya ko vyavastha kahate Hai. Aisa karne se pratyek karya saralta se ho jata hai tatha samay dhan aur shram ki bachat bhi hoti hai.
Gruh karya vyavastha se taatpary hai ki ghar ke sabhi kaju ko is dhang se vyavasthit karke avm Karma anusar karna ki jisse ghar keKarmai karya theek samay per sampann ho jaaye.
Sath hi gruhaniyon ke samay aur Shakti ki bachat ho ghar vyavasthit aur Parivar sukhi Rahe vah Ghar ka vatavaran shant Ho.
Shakti_
Grah ki karya vyavastha ke sanchalan hetu Shakti ka vyay hota Hai manviy Shakti vibhinn karyon ka Aadhar Hai Shakti Parivar ke sadasyon ke sharirik aur mansik swasthya pernirbhar karti hai jo sadasya jitna swasth hota hai uski Shakti bhi utani adhik hoti hai grahniyon Ko chahie ki vah karya vyavastha ko is prakar sanchalit Karen ki kam se kam Shakti ke vyay se adhik karyon ko sampann kar sake per kuprabhav nahin padega.
Ruchi_
Kisi bhi karya ko karya vyavastha sucharu Roop se nahin chal sakegi yadi uske sadasyon mein ghar ke karyon ke prati Ruchi n Ho atah ek Safal karya vyavastha mein Ruchi ka ek mahatvpurn sthan Hai Ruchi karya ko saral banaa deti Hai tatha use karya ko shighrata Se Kiya Ja sakta hai. Pray vibhinn karyon Ko Kisi Yojana ke anusar kiya jaaye to karya mein Ruchi utpann Ho jaati Hai. Yah baat Dhyan mein rakhne yogya hai ki Parivar ke vibhinn sadasyon ki Ruchi mein bhi antar hota Hai atah vibhinn karyon ka vibhajan sadasyon ki Ruchi ko Dhyan mein rakhkar kiya Jana chahie taki karya vyavastha mein kisi prakar ka vyavdhan utpann ho.
Gyan_
Gyan swayam ek Shakti Hai grahni Gyan ki dwara karya vyavastha ko sarvottam vidhiyon ka chayan kar sakti hai aur karya vyavastha ko Safal banaa sakti hai ismein newnatam sadhanon se adhik se adhik santushti prapt ki Ja sakti hai Gyan ke abhav mein karya vyavastha aniyantrit Ho jaati Hai.
Leave a comment
We are accepting Guest Posting on our website for all categories.
partiksha
@DigitalDiaryWefru