Chetak ki Veerta (Chetak ki veerta)

꧁ Digital Diary ༒Largest Writing Community༒꧂


Digital Diary Create a free account




Chetak ki Veerta: 

Ran- bich chokdi bhar- bharkar,

Chetak ban gaya Nirala tha|

Rana Pratap ke ghode se

pad Gaya hawa ka pala tha ||

Girta Na kabhi Chetak tan per, 

Rana Pratap ka koda tha|

Vah Daud Raha ari- mastak par,

Ya Aasman per ghoda tha|

Jo Tanik hawa se bag heeli,

Lekar sawar ud jata tha|

Rana ki putli free nahi,

tab tak Chetak mud jata tha||

Kaushal dikhla jalo mein,

ud Gaya bhayanak balon mein|

nirbhik Gaya vah dalo mein,

sarpat dauda karva Lo mein||

Hai yahi Raha ab yahan nahin, 

Vah vahi raha, hai vahan nahi|

Kis ari- mastak per kahan nahin||

Badhate nadsa vah lahar Gaya, 

Vah Gaya Gaya FIR thahar Gaya |

Vikraal virgin Badal sa,

ari ki Sena per gahar Gaya||

Bhala gir Gaya, gira nishank

hai tapo khan Gaya ang|

berry samaj rah Gaya tang,

ghode ka Aisa dekh rang||

                    Lekhak --(Shyam Narayan Pandey)




Leave a comment

We are accepting Guest Posting on our website for all categories.


Comments